Friday, 18 May 2012

BEAUTIFUL LOVE STORY


"KHUDA MEHERBAN"
chandni apney maa baap ki aikloty bety thy nazoon sey pali per buhut hassas ,dil sey buhut naram aur  piyar aur shafqat sey bharpoor andaz aikloty honey ki waja sey sab sey ladli bety thy adhi bat per uss ki har bat pori hua kerty chandni apney khala zad (MONIS) ki bachpan ki mang thy bachpan sey he chandni yei bat janty thy per apney mangetar k dil k raaz sey anjan thy jabhi wo thory pareshan raha kerty thy chandni khud ek nihayat khubsurat larki thy sunehri baal bhori kancha ankhein gulabi gaal pankharion jesey narm mulayam hont aur bat kerney ka andaz aisa k dil kerta wo kehty rahey aur hum suntey rahein hamesha hasney muskuraney wali per ....aj raat chandni kuch pareshan thy per wo apni pareshani kisi ko batana na chahty thy kheyaloon mei dobi chandni aapni sochoon mei gum raat k 1:00 bajey bistar per lait gayi ...........agli subha suraj sar per charh aya suraj ki kirnei uss k gulabi galoon ko chohty rahin per aj wo hamehsa ki terhan nend sey bedar na hui .......chandni arey chandni beta utho dekho zara din k 12 baj rahey hein akhir kab tak so gi ....oho iss larki ko aj kiya hogaya hey kitna soye gi ....chandni rooz 9 bajey uth jaya kerty thy ...per aj ...aj wo zarurat sey zada so gayi najaney kiya baat hey uss k dil mei jo sari raat jagty rahy aur ussey yaad kerty rahy ......oho beta zara waqat to dekho ab utho bhi soraj nikal aya hey kiya kerty hey yei larki kal khud he kaha tha subha jaldi uthna hei kab uthey gi kab kam karey gi aur kab tayar hogi najma k gher bhi to jana hey or yei masi ko bhi najaney kiya hua hey bina boley aj chuty ker li ab kitna kam para hey kesey hoga sab.....maa ki batein sun ker chandni  chonki uff khudaya aj itny dair soi ab sara kam jaldi jaldi kerna hoga kesey hoga sab ....chandni gehri sans bhartey huye haan yei to hona he tha sari raat uss ki yadoon mei jo guzar di barbaratey huye wo bathroom gai fresh ho ker jub wo khud ko ainey mei dekhnei lagi to lamha bhar ko ruki aj uss ki ankhein buhut soji hui thin shayad raat bhar roi thy ....yei piyar bhi ajeeb hei kabhi hasata hey kabhi rulata hey chandni sochney lagy akhir mujh mei kiya kami hei kioon wo mujhey nahy dekhta kioon mujhey dekh ker andekha kerta hey sochtey sochtey kab subha hui aur uss ki ankh lag gai  ...maa ki awaz phir sy ek bar chandni k kanoon tak pari to khud ko kheyaloon ki duniya sey bahar latey huye chandni kuch barbari....chalo ab kuch kam ker loon najaney kesey hoga sab kitna kam hei sham ko jana bhi to hei janey k nam per phr achanak uss ka kheyal uss k lams ko cho gaya lekin maa ki waza bar bar uss k kano mei arahy thy jabhi khud ko kheyaloon sey bahr he rehney diya  ...halka pholka nashta kerney k bad jaldi jaldi sara kam nimtaya aur sham tak farigh hui abhi wo naha ker ai he thy k maa ney phir awaz di or kaha chalo jaldi sey tayar hojao  najma intezar ker  rahy hogi 2 bar phone achuka hei kab arahey ho tum log hum driver k sath jayeingey tumharey abu ko kam ki wajah sey dair lagey gi maa chandni ki mukhatib kertey huye sari bat tafseel sey usey bataty gain chandni muskuratey huye sari batein sunty rahy ....aj chandni nei black rang ka suit pehna tha MONIS ko kala rang buhat pasand tha uss ka sarapa be inteha khubsurat lag raha tha esa lagta tha jesey usey RAB ney buhut fursat sey banaya hey chandni tayar ho ker khud ka sarapa ainey mei dekhnei lagy to pal bhar ko khud dekh ker wo bhi sharma c gai per ankhoon mei udasi c thy ...maa ki awaz ek bar phr sey ai ab k wo apney kamrey sey bahar aa he gai maa  usey dekh ker uss key rukhsar chumei bina reh na saky aur chandni ki balayein leinei lagin ...kuch dair k bad wo apni khala k gher pohanchi door bell bajaney k bad dil mei ek umeed c jagy k kash MONIS darwaza kholey jesey he darwaza khula wo heran reh gai esa laga aj khuda uss per meherban hogaya ho usey dekh wo thora sa sharmai per herangy aur barhi jub MONIS ney usey dekha aur muskuraya aur uss ko salam bhi kiya aj wo heran bhi thy aur khush bhi kioon k uss ka RAB aj uss per zarurat sey zada meherban tha.... MONIS khud bhi ek haseen nojawn tha lamba qad bhorey resham sey ghaney baal gora rang neli ankhein koi bhi uss per dil o jaan sey fida hojaye ..... agar chandni khubsurat thy to monis bhi kam na tha MONIS kabhi chandni ki taraf na dekhta tha nazar perh bhi jaty to bat na kerta per chandni usey dil ki gehraion sey piyar kerty thy buhut chaty thy per dil ki bat kabhi zuban per na lai aj jub wo usey dekh ker muskuraya bat ki to aj wo hawaon mei khud ko mehsoos kerney lagi pankh hotey to sahayd urney he lag jaty .... khala chandni sey mil ker buhut khush huin chandni ki maa aur khala mei khush gappiyan shoro hogain chandni ki terhan MONIS bhi apnei maaa baap ki aikloty ulad tha aj monis bar bar chandni ko dekh raha tha aur chandni khud ko kahin chupa deina chahty thy khaney k waqat bhi wo uss k robaro he betha wo kuch sehmi per khud ko sanbhala aur muskura di monis bhi chandni ki muskurahat dekh ker muskura diya dono ko muskurata dekh dono ki maayein khush hogain ....aj raat bhi monis he khala ko aur chandni ko gher chorney aya saray rastey wo chandni ko takta raha aj chandni buhut khush thy aj ki raat bhi chandni na soi per aj ki raat uss ki ankhom mei nami nahy chamak thy piyar ki chamak uss muhabbat ki chamak jo wo hamesha monis ki ankhon mei dekhna chahty thy per aj wo dikhi aj raat wo khud ko pursukoon mehsoos ker rahy thy subha ka besabry sey usey intezar tha najaney kioon per wo chahty thy k raat guzar jaye esa lagta tha k koi khushi aney wali hei sochtey sochtey aj bhi subha ho gai subha k 6 baj chukey they chandni namaz fajar ada ker k RAB k agey sijdey kertey duain mangty rahy phr kafi dair bad wo  so gai aj wo zarurat sey zada khubsurat lag rahy thy ...... achanak maa ney chandni ko apney kamrey mei bulaya chandni soch mei thy k akhir kia bat hey maa ney sanjeedgy k sath kioon bulaya hamesha maa khushi sey awaz dety hein aj wo itny sanjeedah kioon hein jub wo maa k kamrey mei gai to kafi khush loty esa lagta tha porey jahan ki khushi uss k daman mei simat ai ho khala ney monis k liye uss ka rishta man ker bacpan ki mang ko pakka ker diya tha ek haftey bad uss ki mangni ki rasam thy ............mangni ki rasam mei chandni ney gulabi rang ka kamdar lehenga pehna tha jiss mei wo kisi absara sey kam na lag rahy thy sehlioon k jhurmut mei simty shermai c chandni aj waqai chand sey bhi zada haseen lag rahy thy ....dulha walei achukey they rasam start hui monis k hathoon mei apna hath thamatey huye chandni ka gulabi chehra aur damakney laga....mangni ki rasmein huin buhut khushian manai gain sab kuch jesey ek khab sa ho ....aj chandni buhut khush thy 3 mahiney bad shadi ki tareeq rakhy gai ab to wo aur bhi zada haseen hogai thi mangni k 3 mahiney bad dono ki shadi ki tayariyan shoro hogain aur chandni piya gher sudhar gai .... chandni apney nam ki terhan roshan kheyalat aur khuley zehen ki malik thi uss ney monis ki zindagi ko apney nam ki terhan roshan kerdiya tha ab usey ehsas hua tha k monis bhi usey dil o jaan sey chata tha per kehta na tha k kahin uss k daman per koi dagh na lag jaye ..........kehtey hein rishtey aasman per bantey hein per dil zameen per miltey hein KHUDA jiss ka jora banana chahta hey uss ka dil bhi usi k sath jor deta hey ......
"agar tum apni muhabbat paa loo to samjhlo khuda tum per meherban hogaya " 
 "aur agar tum apni muhabbat kho do to samajhlo khuda tum sey ek jaan hogaya"
                                     *****************************************

No comments:

Post a Comment